Thursday, 10 March 2011

Ghazal # 5

Bana Gulaab To Kaante Chubha Gaya Aik Shakhs
Huwa Chiraagh To Ghar Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Mere Aur Sare Khawaab Mere
Fasaney The Ke Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Uron Kis Fiza Mein Lehraaon
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bicha Gaya Aik Shakhs

Mohabbaton Ne Kissi Ki Bhula Rakha Tha Isse
Mille Woh Zakham Ke Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs 

Muhabbatein Bhii Ajiib Us Ki Nafaratein Bhii Kamaal
Merii Tarah Ka Hii Mujh Mein Samaa Gayaa Ek ShaKhs

Khula Yah Raaz Ke Aaina Khana Hai Duniya
Aur Is Mein Mujhay Tamasha Bana Gaya Aik Shakhs..!
 

No comments:

Post a Comment