Saturday, 12 March 2011

Ghazal # 9


Jane Wale Teri Tasveer Bhi Le Ja Mujh Se
Lut Raha Hoon To Ye Jageer Bhi Le Ja Mujh Se


Lot Kar Phir Kabhi Awaz Na Dena Mujh Ko
Piyar Karne Ka Ye Andaz Na Dena Mujh Ko
Hat Me Tota Howa Saz Na Dena Mujh Ko
Tere Khat Teri Ye Tehreer Bhi Le Ja Mujh Se
 
Jane Wale Teri Tasveer Bhi Le Ja Mujh Se
Lut Raha Hoon To Ye Jageer Bhi Le Ja Mujh Se


Ab Mera Or Meri Manzil Ka Thikana Kia Hai
Mujh Se Na Puch K Jeeney Ka bahana Kia hai
Tu Nahi Hai To Zamaney Ko Dikhana Kia Hai
Chheen Kar Ab Meri Taqdeer Bhi Le Ja Mujh Se
 
Jane Wale Teri Tasveer Bhi Le Ja Mujh Se
Lut Raha Hoon To Ye Jageer Bhi Le Ja Mujh Se


Jane Kal Kia Ho Teri Aas Rahe Ya Na Rahe
Dil Me Ye Dolat-e-Ihsas Rahe Ya Na Rahe
Zandagi Meri Mere Pas Rahe Ya Na Rahe
Khwab Tota Hai To Taabeer Bhi Le Ja Mujh Se
 
Jane Wale Teri Tasveer Bhi Le Ja Mujh Se
Lut Raha Hoon To Ye Jageer Bhi Le Ja Mujh Se...

No comments:

Post a Comment